Searching...
Monday 6 May 2013

Phir pyar kise tum kehtey ho - ▒F▒A▒I▒Z▒A▒

Phir pyar kise tum kehtey ho
khamosh zuban k lafzon main

kuch poshida si batain hain
in poshida si baton main

kuch chahat ki barsatien hain
in baton ko hum muddat say
senay main chupa kar baithay hain
kuch paye bina kuch kho dena

ye pyar main hum ne seekha hai
suraj main chand sitaron main

har shey main tmhi ko daikha hai
dharkan main bhi naghma ban kar

sagar ki tarah tum bahtey ho
phir piyar kisay tum kahtay ho?
phir piyar kisay tum kahtay ho?

 
Back to top!