Searching...
Thursday 2 May 2013

What you Think About Love | Is It True ??




Usne kaha
tum mein pehli si baat nahi,
Maine kaha
zindagi mein tera sath jo nahi,


Usne kaha
ab bhi kisi ki aankhon mein doob jaate ho,
Maine kaha
kisi ki aankh mein woh gehrai nahi,

Usne kaha
kyun itna toot kar chaha mujhe,
Maine kaha
insan hoon pather to nahi,

Usne kaha
kya main bewafa hoon,
Maine kaha
mujhe ab wafa ki talash hi nahi,
 
Back to top!